WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

MuslimCommunity - Topics
Create Your Own App Store

* MuslimCommunity > Topics


Subject: Iqbal ki sha'iri
Replies: 42 Views: 7174

salam05 13.07.09 - 11:36am
Assalam alaikum
The following is a small qoute from Iqbal's famous urdu poem ''jawab shikwa''......


...
tum mei huro ka koi chahne wala hi nahi,

jalwa-e-tur to mawjud hai musa hi nahi



manfa'at aik hai is qawn ki nuqsan bhi aik

aik hi sab ka nabi, deen bhi, eeman bhi ek.

haram-e-pak bhi, Allah bhi, qur'an bhi ek.

kuchh badi baat thi hote jo musalman bhi ek.



firqa bandi hai kahi aur kahi zatei hai!

kya zamane mei panapne ki yahi batei hai?
*

ayyad 13.07.09 - 06:40pm
mashaALLAH!he was the best! *

ayyad 13.07.09 - 06:43pm
hai tammanna e dard e dil to kar khidmat faqiroon ki nahi milta hai ye goohar baadshaaon ke khazeenon main *

mishy_23 13.07.09 - 07:27pm
okay. . .mujhay to kuch bhi samajh mein nahin aya. . . *

fastraja 14.07.09 - 04:12am
I love illama iqbal and his poetry *

salam05 14.07.09 - 01:03pm
sis mishy, u need to learn more urdu.lol *

mishy_23 14.07.09 - 03:34pm
Lol i think i shud rather emphasize on arabic. If ppl in my country hear dat i am learning urdu, dey'll kill me!lol. *

salam05 14.07.09 - 07:46pm
Actually if u kno hindi then urdu is not dat difficult... And urdu is the sweetest lang of world after arabic. Even a slang word in urdu look lyk a respectful sentence... Lol *

mishy_23 15.07.09 - 12:07am
it is not difficult?? Its so tough to undastand. Da normal one is ok bt da formal urdu is really not meri bas ki baat. . . *

maasid16 15.07.09 - 04:39am
Khol aankh fiza dekh falk dekh,

Mashriq se ubarte hue suraj ko zara dekh *

maasid16 15.07.09 - 04:41am
Arz kiya hai,
Ki Muhammad (saw) se wafa tou ham tere hain,

Ye jahan chez hai kya louho kalm tere hain *

maasid16 15.07.09 - 04:50am
Wo danae subul, moula e kul, khatme rusul jis ne
Gubbar e rah ko bakhsha faroog e wadiy e sina

Nigah e ishq wa masti main wahi awwal wahi aakhir, wohi Quran wohi Furqan, Wohi Yasin, Wohi Taha. *

maasid16 15.07.09 - 04:51am
That was my favourite, may Allah swt bless u Allama *

maasid16 15.07.09 - 04:53am
Nigah e mard e mumin se badal jati hain Taqdeerain............
This seems to go against d modern so called salafis *

salam05 15.07.09 - 06:20am
Anyone kno if ''iblees ki majlis-e-shura'' is in kulliyat-e-iqbal. Im unable to find it.. Anyhow, for now my most favourit is 'jawab-e-shikwa'..... *

salam05 15.07.09 - 06:26am
And how itz against modern salafis? *

mishy_23 15.07.09 - 08:12am
I wish i cud grasp da meaning of any of it..... *

salam05 15.07.09 - 08:38am
Jawab e shikwa is just amazing... Iqbal had given a nice response to the politicians and religious personality who were criticizing him for some islamic issues. Btw Iqbal's poems r collections of his work which he had written or compiled during his life from startin to end. So one can't conclude just by reading his She'r that it was his views. *

maasid16 15.07.09 - 10:56am
Well ...Mairaj Rabbani ..u kno him bro salam
*

salam05 15.07.09 - 11:29am
Well, i've heard his lectures... How is that poem related to Meraj Rabbani?? *

ayyad 15.07.09 - 06:21pm
Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Malookiat Ka Khuwab
Mein Ne Tora Masjid-O-Der-O-Kalisa Ka Fasoon

Mein Ne Nadaaron Ko Sikhlaya Sabaq Taqdeer Ka
Mein Ne Munim Ko Diya Sarmaya Daari Ka JunooN *

ayyad 15.07.09 - 06:24pm
btw bro salam r u sure that iblees.... is in kulyate iqbal!or bange dara *

ayyad 15.07.09 - 06:27pm
First Advisor

Is Mein Kya Shak Hai Ke Muhkim Hai Yeh Ibleesi Nizam
Pukhta-Tar Is Se Hoye Khooy-e-Gulami Mein Awaam

Hai Azal Se In Ghareebon Ke Muqaddar Mein Sujood
In Ki Fitrat Ka Taqaaza Hai Namaz-e-Be-Qayaam

Aarzoo Awwal To Paida Ho Naheen Sakti Kaheen
Ho Agar Paida To Marjaati Hai Ya Rehti Hai Khaam

Yeh Hamari Sayi-e-Paiham Ki Karamat Hai Ke Aaj
Sufi-o-Mulla Malookiat Ke Bande Hain Tamam

Tibe-Mashriq Ke Liye Kaafi Yehi Afyoon Thi
Warna Qawwali Se Kuch Kamtar Naheen Ilm-e-Kalaam

Hai Tawaaf-o-Hajj Ka Hangama Agar Baqi to Kya?
Kund Ho Kar Reh Gayi Momin Ki Taigh-e-Be-Nayaam

In the above verses, first Advisor affirms the strategies of Iblees and talks about the state of world. He says: there is no doubt in the strength of satanic system because it has made common people slaves of the powerful bodies of the society. They are in a state of surrendering. They follow the system that has been given to them but do not strive to reform or rebuild the system. They can never think about taking a stand and if sometimes they think their hopes either are killed or remain unprocessed. Because this is the result of our continuous struggle that their clergy is serving monocracy. They are involved in unproductive activities and debates over non-issues. They still perform prayers, fasting, hajj and other rituals but they have lost the real essence of Islam. *

ayyad 15.07.09 - 06:29pm
Second Advisor

Khair Hai Sultaani-e-Jamhoor Ka Ghogha Ke Shar
Tu JehaN Ke Taaza FitnoN Se NaheeN Hai Ba-Khabar

Second advisor interrupts first advisor and reminds him about a threat democracy and says it seems that you are not aware of latest threats

***

First Advisor

Hoon, Magar Meri Jehan-Beeni Batati Hai Mujhey
Jo Malookiat Ka Aik Parda Ho Kya Us Se Khatar!

Hum Ne Khud Shahi Ko Pehnaya Hai Jamhoori Libaas
Jab Zara Adam Hua Hai Khud-Shanaas-o-Khud-Nigar

Karobar-e-Shehr-Yaari Ki Haqeeqat Aur Hai
Yeh Wajood-e-Meer-o-SultaN Per NaheeN Hai Munhasar

Majlis-e-Millat Ho Ya Parvez Ka Darbaar Ho
Hai Who SultaN, Ghair Ki Kheti Pe Ho Jis Ki Nazar

Tu Ne Kya Dekha Naheen Maghrib Ka Jamhoori Nizaam?
Chehra Roshan, Androon Changez Se Tareek Tar

Second advisor says I am aware, but we dont need to be afraid of democracy because it is another form of monocracy. It is a part of our planning because we had got an idea that human intellect is now at a stage where they wont tolerate monocracy anymore. It does not matter whether a dictator rules or an elected politician, the real ruler is he who knows how to own the production of others. Havent you seen the democratic system of west? It looks brighter from outside but is actually darker than the changezi system from inside. *

ayyad 15.07.09 - 06:31pm
to be cont. *

salam05 15.07.09 - 07:28pm
I don't hav Bang-e-dara.. I only hav Kulliyat of his. Btw shukran for posting the 'Iblees ki majlise shura'... Its just amazing.... *

salam05 16.07.09 - 08:38am
lab pe ati hai dua ban k tamnna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

dur duniya ka mere dam andhera no jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat

zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

ho mera kam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

mere Allah burai se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko *

salam05 16.07.09 - 08:39am
ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai

is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai

ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai *

salam05 16.07.09 - 09:03am
His books can b read and downloaded from the following link:
http://www.iqbalcyberlibrary.net/content/view/8/12/default.htm

*

salam05 16.07.09 - 03:47pm
That was just weird from me.... Kulliyat-e-Iqbal includes all four: Bang e dara, baale jibreel, zarb e kaleem & armaghan e hijaz. *

ayyad 16.07.09 - 04:03pm
yeah i think its in bange dara *

salam05 16.07.09 - 06:05pm
But watz the title... I dint fnd any title as 'iblees ki majlise shura'. *

ayyad 16.07.09 - 06:29pm
its just a small portion f a large collection f nazams!but m stil a bit confused!remember that frnd f mine who has my book he realy is good at this!btw allama iqbal was basically kashmiri! *

ayyad 16.07.09 - 06:32pm
Third Advisor

Rooh-e-Sultani Rahe Baaqi To Phir Kya Iztaraab
Hai Magar Kya Us Yahoodi Ki Sharaarat Ka Jawaab?

Third advisor confirms what first advisor explained about democracy but reminds all of them about Karl Marx as a serious threat to the satanic system.

Karl Marx is credited as the founder of communism however the idea of a society based on common ownership of productive property can be traced back to sixth century when a Persian reformer Mazdak instituted communal possessions and social welfare programs. This was later named as Mazdakism. Communism is also considered to be a branch of socialism.

Iqbal believed that by adding GOD to socialism we can come very close to the economic system that Quran suggests. Iqbal believed that socialism or communism claim to build a very strong society but they are missing its foundation. Obviously why a person would agree to share his productive property with others? What would be the reason behind such motivation? I require a separate post to cover what an ideal economic system is and what happens when you add GOD to socialism?

But still communism was a serious threat to the satanic system. Karl Marx and his companions/followers had taken a stand against capitalism and ruling parties. And then there was a series of revolutions from 1871 to 2006 in different areas of the world like Paris Commune in 1871, Russian revolution in 1917, German Revolution in 1918, Chinese Revolution in 1949, August Revolution 1945, Cuban Revolution in 1959 and many other movements.

***

Fifth Advisor (to Iblees)

Fifth advisor praises Iblees for his great satanic strategies. But also warns him that communism has become a great threat for the satanic system. Iblees should not take it lightly.

Garche Hain Tere Mureed Afrang Ke Saahir Tamaam
Ab Mujhey Unki Faraasat Per NaheeN Hai Aitebaar

Woh Yahoodi Fitna Gar Who Rooh-e-Mazdak Ka Burooz
Har Qaba Hone Ko Hai Us Ke JunooN se Taar-Taar

Zaagh-e-Dashti Horaha Hai Hamsar-o-Shaheen-o-Chargh
Kitni Sarat Se Badalta Hai Mizaaj-e-Rozgaar

Chagayi Aashufta Hokar Wusat-e-Aflaak Per
Jis Ko Nadaani Se Hum Samjhe They Ik Mushk-e-Ghubaar

Fitna-e-Farda Ki Haibat Ka Yeh Aalam Hai Ke Aaj
Kaanpte Hain Kohsaar-o-Murghazaar-o-Jooe-Baar

Mere Aaqa Who Jehan Zair-o-Zabar Hone Ko Hai
Jis Jehan Ka Hai Faqat Teri Sayaadat Per Madaar

Fifth Advisor says: This is a fact that they all are the servants of satanic systems but we no more can depend on them. Mazdak has appeared again in form of Karl Marx. This is because we ignored him initially. I am afraid he will win a victory over our satanic system.

***

IBLEES (to his advisors)

After listening to all of his advisors, Iblees says This world is in my control. East and west both will see their downfall soon. All political leaders and clergy are in my hand. If anyone thinks that my system can fall down so easily then let him try.

Dast-e-Fitrat ne kiya hai jin garebanon ko chaak
Mazdaki Mantaq Ki Sozan Se Naheen Hote Rafu

Kab Darasakte Hain Mujh Ko Ishtaraaki Koocha Gard
Yeh PareshaN Rozgaar, Aashufta Maghaz, Aashufta Hu

My satanic system is not going to be down because of Mazdakism. These financially disturbed communists cant frighten me.

Finally, Iblees comes to the point and tells everyone about a REAL THREAT.

Hai Agar Mujh Ko Khatar Koi To Us Ummat Se Hai
Jis Ki Khakastar Mein Ab Tak Hai Sharaar-e-Aarzoo

Khaal Khaal Us Qaum Mein Ab Tak Nazar Aate Hain Woh
Karte Hain Ashk-e-Sehar-Gaahi Se Jo Zaalim Wazoo

Jaanta Hai Jis Pe Roshan Batin-e-Ayyam Hai
MAZDAKIAT FITNA-E-FARDA NAHEEN, ISLAM HAI

There is only one nation I am afraid of. That nation still has guts. I can still see few people who weep whole night and do ablution with their tears. He who has an idea knows that the real future threat to our system is not Mazdakism, IT IS ACTUALLY ISLAM.

ISLAM!!!!!! All advisors were astonished. Looking at each other with questioning eyes that what has happened to Iblees? Why he is afraid of such a self-righteous nation. Iblees continues: *

ayyad 16.07.09 - 06:45pm
Jaanta Hoon Mein Yeh Ummat Hamil-e-QuraN NaheeN
Hai Wohi Sarmaaya-Daari Banda-e-Momin Ka DeeN

Jaanta Hoon Mein Ke Mashriq Ki Andheri Raat Mein
Be-Yad-e-Beza Hai Peeran-e-Haram Ki AasteeN

Asr-e-Hazir Ke TaqaazaaoN se Hai Lekin Yeh Khauf
Ho Na Jaye Aashkara Share-Paighambar KaheeN

Al-Hazar!! Aayeen-e-Paighambar se Sau Baar Al-Hazar
Haafiz-e-Namoos-e-Zan, Mard-Aazma, Mard AfreeN

Maut Ka Paigham Har Nau-e-Gulami Ke Liye
Ne Koi f*ghfoor-o-KhaqaaN, Ne Faqeer-e-Rah-NasheeN

Karta Hai Daulat Ko Har Aasoodgi Se Pak-Saaf
MunimoN Ko Maal-o-Daulat Ka Banata Hai AmeeN

Us Se Barh Kar Aur Kya Fikr-o-Amal Ka Inqilaab!
BaadshahoN ki Naheen, Allah Ki Hai Yeh ZameeN

Chashm-e-Aalam Se Rahe Poshida Yeh AayeeN to Khoob
Yeh Ghaneemat Hai Ke Khud Momin Hai Mehroom-e-YaqeeN

Iblees explains to his advisors what Islam really is and how it could become a real threat any time for satanic system. Muslims do not hold Quran in their hands right now and spending their lives according to capitalism. But the enshrouded constitution of Mohammad P.B.U.H could be exposed to them any time due to the conditions and then the satanic system will have no shelter on their heads. What that constitution is? Iblees explains:

1. Protection of womens honor
2. Testing of Men
3. Message of death to all sorts of slavery
4. No kings, No beggars Equality
5. Rich community as the custodian of the riches
6. The land is owned by GOD, not by kings

All advisors became uncomfortable after listening to the definition of Islam and got worried. But Iblees explained them how to prevent this real dangerous threat.

Hai Yehi Behter Illahiyaat Mein Uljha Rahe
Yeh Kitab-ul-Allah Ki Taweelaat Mein Uljha Rahe

Let them busy in philosophical issues regarding the existence of GOD. Let them busy in misinterpreting the Book of GOD.

Iblees then defines what sort of issues Muslims should be engaged in:

Ibn-e-Maryam Mar Gaya Ya Zinda-e-Javaid Hai
Hain Sifaat-e-Zaat-e-Haq, Haq se Juda Ya Ain-e-Zaat

Aane Wale Se Maseeh-e-Nasiri Maqsood Hai
Ya Mujaddid, Jis Mein Hoon Farzand-e-Maryam Ke Sifaat

Hain Kalaam-ul-Allah Ke Alfaaz Haadis Ya Qadeem
Ummat-e-Marhoom Ki Hai Kis Aqeede Mein Nijaat

Iblees guides his advisors to keep Muslims busy in fruitless debates and making issues out of non-issues. Few examples are:

1. Jesus is dead or has got eternity?
2. The attributes of GOD are GOD themselves or other than GOD?
3. Will Jesus return? Or a reformer will come with the characteristics of Jesus?
4. The words from GODs scripture were created after the creation of world or existed before world with GOD?
5. Which belief is acceptable in the eyes of GOD?

Kya MusalmaN ke Liye Kaafi NaheeN is Daur Mein
Yeh Illahiyaat Ke Tarshay Hoye Laat-o-Manaat?

***

Tum Usey Begaana Rakho Aalam-e-Kirdaar Se
Ta Bisaat-e-Zindagi Mein Us ke Sab Mohre Hoon Maat

Khair Isee Mein Hai Qayamat Tak Rahe Momin Ghulaam
Chor Kar AuroN ki Khatir Yeh Jehaan-e-Be-Sabaat

Hai Wohi Shair-o-Tasawwuf Us Ke Haq Mein Koob Tar
Jo Chupaade Us Ki AankhoN se Tamasha-e-Hayaat

1. Keep them away from the practical world so they get defeated in every battle of the life.
2. It is better that Momin should hate this world and should remain slave forever by handing over this world to others.
3. The type of poetry and Sufism which hides the real issues of human life is good for them.

Har Nafas Darta Hoon Us Ummat Ki Baidaari Se MeiN
Hai Haqeeqat Jis Ke DeeN ki EHTISAAB-E-KAAYENAAT

The rouse of that nation scares me every moment because the reality of that DEEN is to promote the good, to depreciate the bad and to keep check and balance over the world matters.

MAST RAKHO ZIKR-O-FIKR-E-SUBH GAAHI MEIN ISEY
PUKHTA TAR KARDO MIZAAJ-E-KHAAN-QAHI MEIN ISEY

Set apart their DEEN from their DUNIYA (world) and GOD-Rights from Human-Rights. Change the exposition of Quranic terminologies and let them translate Ibaadat as Worship. Keep them worried about worships and make their impractical thoughts strong.

****************************

Please Think, You Can Think *

ayyad 16.07.09 - 06:47pm
k its complete nw but stil luks odd! *

mishy_23 17.07.09 - 12:24am
Hmmmm.... *

salam05 17.07.09 - 04:28am
I got it... Its not in Bange dara. Rather i found it in Armghane Hijaz which is the last part of Kulliyat. Its in the exact startin of it. Its somethin difficult to understan in english transliteration than in urdu lang. *

salam05 17.07.09 - 07:33pm
Taken from Baang e Dara, Wataniyyat (i.e. Nationalism):

is dawr me mai aur hai jaam aur hai jam aur,
saaqi ne binaki rosh e lutf o sitam aur.

Muslim ne bhi ta'meer kiya apna haram aur,
tahzeeb ke aazar ne tarashwaye sanam aur.

Un taaza khudao me bada sab se watan hai,
jo pairahan uska hai wo madhhab ka kafan hai.

Ye but ki tarasheeda tahzeeb nawi hai,
gharat gari ka shana e deene nabawi hai.
Bazu tera tawheed ki quwwat se qawi hai,
islam tera des hai tu mustafawi hai. *

salam05 17.07.09 - 07:35pm
That is just amazing mind blowing refutation of nationalism. *

ayyad 17.07.09 - 08:23pm
yup just amazing!its trajic that muslims indulge in watanparasti wo thinkin it leads to a new kind f shirk! *

salam05 8.06.11 - 05:51pm
I wonder why this beautiful topic was locked by some moderators *


* Reply
* MuslimCommunity Forum


Search:
topics replies


* MuslimCommunity

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store